Forum Pakistan - Pakistani Forums
Pakistani forum, where you can discuss freely on all issues from khabrain, muqabaley, cricket, khail, film, dramay, shair shaery, safar, batein, muhabat kay qissay, warzish, sehat, rozee, akhbar, siasat, naukary ghar pyaar dokan aur karobar gupshup.
|
|
|
| Author |
Message |
|
|
Dr Maqsood Hasni
Full PK Member

Joined: 09 Jun 2007 Posts: 175 Location: punjab |
|
| ZINDAH BA'DAST MURDAH |
|
ZINDAH BA’DAST MURDAH
Kuch hi din pehlay ki baat hai, mairi baiti sakht bimar par gae. Ossay DHQ, Kasur ki amar’jansi main lay jaya giya. Dr, Azeem Khokhar duty par thay. Oon tak rasae ki puri koshesh ki gae aakhar sharaf-e-qadam bosi ka moqa mil hi giya. Mosoof Masiha kam, rooh shikan fareshtah ziyadah sabat howay. Basad ehtaram surat-e-hal gosh’gozar karnay ki sae ki gae. Kuch nahain hota, kuch nahain hota, keh kar onhoon nay mujhy faragh kar diya. Oon kay es rovaeay par sadmah howa. Oon ka yah taraz-e-amal seraf mairay sath hi nahain tha, woh sab ko eak aakh daikh rahay thay. Ajeeb sa laga kah woh aisa kayoon kartay hain.
Oon kay es taraz-e-amal ka baad main raz khul; moamlah yah tha, eak maqtool ki lash cheer phar kay liay pari thi aur woh bahar kusi takht bhichay adalt lagay baithay tha. Bila’shubah muqtool ka ziyadah haq tha kayoon os bi’charay nay koon’sa es kay baad aana tha. Yah os ka aakhri jogi wala phaira tha. Qesmat ya naseeb. Ghaliban natijah kay hawalah se koe mok moka nahain ho pa raha tha. Zindoon ki sansain murday kay hath main thein aur woh traing karnay wali naroon, wardboys sweeper waghera kay reham-o-karam par thay. Zindah kab tak airiyaan ragartay rahay, mein nahain janta kayoon’kah char ghaintoon say ziyadah mein maintain tarlay nahain kar sakta tha. Marizah ki halat gher hoti chali ja rahi thi lihaza mujhy wahan say jana hi para.*
-------------------------------------------------------------------------------------
*Apni ezzat kay bharam kay hawalah say yah jumlah matan ka hisah nahain banana chahta kay bistar khali karwa liya giya.
_________________ iushah |
|
| Fri Jul 25, 2008 9:55 am |
|
 |
|
|
|