Forum Pakistan
New User? Register | Search | Memberlist | Log in
Forum Pakistan - Pakistani Forums
Pakistani forum, where you can discuss freely on all issues from khabrain, muqabaley, cricket, khail, film, dramay, shair shaery, safar, batein, muhabat kay qissay, warzish, sehat, rozee, akhbar, siasat, naukary ghar pyaar dokan aur karobar gupshup.
Watch TV OnlineLive RadioListen QuranAkhbarFree SMS PakistanResults OnlineUrdu Editor
Complaint CellUseful LinksJobsOnline GamesCheck EmailPromote usDonations
GEO News LiveDawn News Live TVExpress News
Shaadi Online
Ramazan Mubarak
Watch Musharraf Address Audio Video
Shaadi Online
Yeh hai Allah ka ehsan aya mahay Ramazan

 
Reply to topic    Forum Pakistan - Pakistani Forums Home » Naats
Yeh hai Allah ka ehsan aya mahay Ramazan
Author Message
ali
Senior Member Pakistani
Senior Member Pakistani


Joined: 24 May 2007
Posts: 704
Location: New York

Yeh hai Allah ka ehsan aya mahay Ramazan
Yeh hai Allah ka ehsan, aya mahay Ramazan

Ehl-e-Iman ka mehmaan, aya mahay Ramazan



Kul gaey Janath kay darwazey aur dozakh kay baand, khuld mey jaaogey jo jaao rozay kai paband, yeh hai bakhshish ka samaan, aya mahay Ramazan



Apna yeh mehmaney mo'azam atha hai har saal, karthay hai ehl-e-Iman iss ka dil say istiqbal, iss ki bari hai shaan, aya mahay Ramazan



Mahay mubarak pehla ashra rehmath say barpoor, dusray mey hotha hai har dam afwu karam ka zahoor, akhri ashray mai janath ki pehchaan, aya mahay Ramazan



Sath darjey bar jatha hai farz ka iss may sawaab, naflow ka farz kay barabar ajr hai aali janab, khoob jila paaey iman, aya mahay Ramazan



Rozay meray liyeh hai tho hun khus iss ki jaza, rowzaydar ko iss ka badla khud mey karoon ga athaa, yeh hai Allah ka farmaan, aya mahay Ramazan



Rowzaydar kai muun ki boo hai Rabb ko bari mehboob, yeh talib hai Rabb ka aur khud hai Rabb ka matloob, iss say hai razi Subhan, aya mahay Ramazan



Jis darwazey say jaaen gey khuld mey rowzaydar, har ik gham pey aaey gi un ko khushboo ki mehkaar, dil key niklain gey armaan, aya mahay Ramazan



Rowzadarow par khaliq ka hai yeh bara inaam, khuld may unkay darwazay ka hai yeh hai hadith mey naam, kehlaey babur-Riyaan, aya mahay Ramazan



Har ik samth say aaen namazi jab ho waqt namaz, hai yeh haqeeqath mahey Ramazan ka hai yeh ey jaaz, ho geya beybas har shaytan, aya mahay Ramazan



Bhari bhari hai har ik masjid hai lamhay anmowl, banday hai masroofay ibadat deykho khol kay ghowr, is say razi hai Rehman, aya mahay Ramazan



Nafl ada karthay hai koi, koi farz ada, parhai durood Nabi par koi, koi Qalam-e-Khuda, reyl pey rakha hai Qur'an, aya mahay Ramazan



Rooh ki hai bimarian jithni rowza hai unka ilaaj, nafs key sar peh rakh deytha hai yeh taqway ka taar, hai yeh ruhaani darman, aya mahay Ramazan



Ghar ghar rownaaq iss ki zahir din ho ya ho raath, chaai huwi hai deykho iss ki har janib barkar, khair ka hai yeh tho unwaan, aya mahay Ramazan



Aftari aur sehri kay beek di din hi hai manzar, chehl pehl hai chaarow taraf hai masjid ho ya ghar, noori ki barish hai har aan, aya mahay Ramazan



Jaga jaga hothay hai shabeenay machtee hai har sudhoom, aur shabeenow mey lowgo ka hotha hai khoob khujoom, yeh hai maheenow ka sultaan, aya mahay Ramazan



Mahay iss kay thees hai rowzay or shawwal ka uchey, jis ney rakhay iss ko jaza Haq saal key rowza ka dey, yeh hai Muhammad ka eylaan, aya mahay Ramazan



Iss ki haqeeqi afzaliath ko janay Khuda aur Rasul, tuj ko Riyaaz sha'oori hi kya hai thu tho hai zaloom aur jahool, theri aql tho hai heyraan, aya mahay Ramazan



Yeh hai Allah ka ehsan, aya mahay Ramazan

Ehl-e-Iman ka mehmaan, aya mahay Ramazan
Sat Mar 22, 2008 3:41 pm View user's profile Send private message
Display posts from previous:    
Reply to topic    Forum Pakistan - Pakistani Forums Home » Naats All times are GMT + 5 Hours
Page 1 of 1

 
Urdu AdabIslam ForumAap Ka SheharNaukariPakistan VisaCricket Forum
PTV LiveGEO LiveLollywood MoviesBollywood MoviesHollywood MoviesPakistani Radio
GupshupPakistani MusicPakistani DramasPoetry ForumPakistan FashionPakistani Recipes
Pakistani Forum Copyright © ForumPakistan.com 2008
sitemap 1 2 3

Contact Us | Advertise | Report Abuse | FP Team | Disclaimer