Forum Pakistan - Pakistani Forums
Pakistani forum, where you can discuss freely on all issues from khabrain, muqabaley, cricket, khail, film, dramay, shair shaery, safar, batein, muhabat kay qissay, warzish, sehat, rozee, akhbar, siasat, naukary ghar pyaar dokan aur karobar gupshup.
|
|
|
| Author |
Message |
|
|
ali
Senior Member Pakistani

Joined: 24 May 2007 Posts: 704 Location: New York |
|
| Ye sab tumhara karam hai aqa ke baat ab tak bani huvi hai |
|
Ye sab tumhara karam hai aqa ke baat ab tak bani huvi hai
mai is karam ke kaha tha qabil huzur ki banda parwari hai
wo khushbu-e-zulf-e-mustafa hai ke mushk bhi hech jiske aage
mahekti galiya ye kahrahi hai sawari unki abhi gayi hai
durud padna salam padna har ek pal unka naam lena
jo arz karna unhi se karna sikhaya rab ne hame yehi hai
wo sabz gumbad wo unka roza wo unki masjid ka gosha gosha
khadam khadam par laga hai aaisa falak se jannat utar padi hai
nahi hai aaisa shaher jaisa madine jaisa madine jaisa
hai faqr-e-jannat zami ka tukda jaha pe roze nabi nabi hai
dilao ke gulshan mahek rahe hai ye kaif kiyu aaj aa rahe hai
kuch aaisa mahsus ho raha hai huzur tashrif laa rahe hai
mai janta hoo ay aql walo mere mohammed (saw) khuda nahi hai
magar dilo me ye naqsh karlo ke wo khuda se juda nahi hai
|
|
| Sat Mar 22, 2008 3:38 pm |
|
 |
|
|
|