Forum Pakistan - Pakistani Forums
Pakistani forum, where you can discuss freely on all issues from khabrain, muqabaley, cricket, khail, film, dramay, shair shaery, safar, batein, muhabat kay qissay, warzish, sehat, rozee, akhbar, siasat, naukary ghar pyaar dokan aur karobar gupshup.
|
|
|
| Author |
Message |
|
|
ali
Senior Member Pakistani

Joined: 24 May 2007 Posts: 705 Location: New York |
|
| Yay sarwari he bhala kya |
|
Yay sarwari he bhala kya sikandari kya he
Dar e nabi ka gadaa huun mujhay kamii kya he
Fida na ho jo nabi par wo ummati kya he
Jo geeth ga-ay na un kay wo aadmi kya he
Dar e rasool pay lay chal janoon e ishq mujhay
Bagheyr aaqa kay guzray wo zindagi kya he
Tarrap raha he jo rozay ki haazri kay liay
Ussi ghareeb say puchho kay bay basi kya he
Nabi ki shaan e karimi na maan-nay waalo!
Mujhay bas itna bata do kay kaafri kya he
Barra karam he niyaazi madinay waalay ka
Karam na ho jo nabi ka to zindagi kya he
|
|
| Sat Mar 22, 2008 3:38 pm |
|
 |
|
|
|