Forum Pakistan - Pakistani Forums
Pakistani forum, where you can discuss freely on all issues from khabrain, muqabaley, cricket, khail, film, dramay, shair shaery, safar, batein, muhabat kay qissay, warzish, sehat, rozee, akhbar, siasat, naukary ghar pyaar dokan aur karobar gupshup.
|
|
|
| Author |
Message |
|
|
ali
Senior Member Pakistani

Joined: 24 May 2007 Posts: 715 Location: New York |
|
| Yay naaz yay andaaz hamaray nahin hotay |
|
Yay naaz yay andaaz hamaaray nahin hotay
Jholi may agar tukray Tumharay (S.A.W) nahi hotay
Jab tak kay Madinay say ishaaray nahi hotay
Roshan kabhi kismat kay sitaaray nahi hotay
Damaanay shafa'at may hammay koun chupaata
Sarkaar (S.A.W) agaer aap hamaaray nahi hotay
Milti na agar bheek Huzuur(S.A.W) aap kay dar say
Is thhaat say mangton kay guzaaray nahiin hotay
Baydaam hi bik jaeyay bazaar-e-Nabi (S.A.W) may
Iss shaan kay soday mayn khasaaray nahin hotay
Jholi may agar tukray tumharay nahi hotay tou
Yay naaz yay andaaz hamaaray nahi hotay
Yay nisbat-e-Sarkaar (S.A.W) ka ayjaaz hay warna
Tufaan say namudaar kinaaray nahi hotay
Khalid yay tasadduq he faqat naat ka warna
Mahshar mayn tayray waaray niyaaray nahiin hotay
|
|
| Sat Mar 22, 2008 3:41 pm |
|
 |
|
|
|