Forum Pakistan - Pakistani Forums
Pakistani forum, where you can discuss freely on all issues from khabrain, muqabaley, cricket, khail, film, dramay, shair shaery, safar, batein, muhabat kay qissay, warzish, sehat, rozee, akhbar, siasat, naukary ghar pyaar dokan aur karobar gupshup.
|
|
|
| Author |
Message |
|
|
ali
Senior Member Pakistani

Joined: 24 May 2007 Posts: 704 Location: New York |
|
| Ya rab madinay paak mayn jaana naseeb ho |
|
Ya rab madinay paak mayn jaana naseeb ho
Jaana naseeb ho to na aana naseeb ho
Rakh duun dar e huzur pay jab meyn jabeen e shoaq
Chokhatt say un kay sar na utthaana naseeb ho
Palkon say chuumta phiruun kuay nabi ki khaak
Siinay say jaliyon ko lagaana naseeb ho
Dar dar ki tthokarayn gar mayray naseeb ho
Ishq e nabi mayn tthokarayn khaana naseeb ho
Teba say aa kay bhi rahay teba ki aarzoo
Tohfa yahi madinay say laana naseeb ho
Hafidh kay dil ki he yahi kuaish o iltija
Qadmon mayn mustafa kay tthikaana naseeb ho
|
|
| Sat Mar 22, 2008 3:40 pm |
|
 |
|
|
|