Forum Pakistan - Pakistani Forums
Pakistani forum, where you can discuss freely on all issues from khabrain, muqabaley, cricket, khail, film, dramay, shair shaery, safar, batein, muhabat kay qissay, warzish, sehat, rozee, akhbar, siasat, naukary ghar pyaar dokan aur karobar gupshup.
|
|
|
| Author |
Message |
|
|
ali
Senior Member Pakistani

Joined: 24 May 2007 Posts: 704 Location: New York |
|
| Ya Nabi Mustafa Ya Nabi Mustafa |
|
Noor.e.zaat.e.munazza Habeeb.e.Khuda
Ya Nabi Mustafa Ya Nabi Mustafa
Koee tum saa huwa hai na phir huvegaa
Ya Nabi Mustafa Ya Nabi Mustafa !
Zara pardah.e.ghaib ko rukh se uthaa
Ya Nabi Mustafa Ya Nabi Mustafa!
Hamen apna jamaal dikha dee jiyegaa
Ya Nabi Mustafa Ya Nabi Mustafa !
Sar.e.arsh se rooye.zameen talak
Saare jin.o.bashar saare hoor.o.malak
Rakhte Aapka dil mein hain shauq.e.liqaa
Ya Nabi Mustafa Ya Nabi Mustafa !
Saare Ambiyaa Auliyaa Atqiyaa
Jitne paida jahaan mein hai khulq.e.Khudaa
Shah tum ho tumhaare hain saare gadaa
Ya Nabi Mustafa Ya Nabi Mustafa !
Pehley Aap ki jalwah.mumaayi huwi
Peeche paida yeh saari Khudaee huwi
Paida Aap na hotey to kuch bhi na tha
Ya Nabi Mustafa Ya Nabi Mustafa !
Pehle paida woh Aap ka Noor huwa
Usi Noor se saara zahoor huwa
Shakl.e.shams.o.qamar aur arz.o.samaa
Ya Nabi Mustafa Ya Nabi Mustafa !
Rutba samjhein Tumhaara to samajhiye kya
Wasf kije tumhaara to kijiye kya
Nahin Aap Khudaa, na Khudaa se judaa
Ya Nabi Mustafa Ya Nabi Mustafa !
Jo ghazab hai tumhaara Khudaa ka ghazab
Jo karam hai tumhara Khuda ka karam
Jo Tumhari raza so Khuda ki raza
Ya Nabi Mustafa Ya Nabi Mustafa !
Huwe Aap jo paida ba.shakl.e.`arab
Nikley `ain `arab se to `ain hai rabb
Shaan.e.Jall.e.`alaa Shaan.e.Jall.e.`alaa
Ya Nabi Mustafa Ya Nabi Mustafa !
Jee mein aata hai cheer garibaan ko main
Jaaoon chor ke basti bayaaban ko main
Mere sar mein Madeeney ka sauda huwaa
Ya Nabi Mustafa Ya Nabi Mustafa !
Jald mulk.e.`arab mein bula lijiye
Mujhko Shehr.e.Madina dikha dijiye
Yahaan ke shehroun se wahaan ka hai sehraa bhalaa
Ya Nabi Mustafa Ya Nabi Mustafa !
Dekhoun Surat.e.Paak wo aankhein nahin
Wahaan jaakey jhukaaoun adab se jabeen
Dekhoun Rawza.e.`aala.e.salle.`alaa
Ya Nabi Mustafa Ya Nabi Mustafa !
Hadd se behad ho gayee zashtee meri
Behr.e.isyaan mein doobey hai kashti meri
Apne fazl se paar utaaro zaraa
Ya Nabi Mustafa Ya Nabi Mustafa !
Poochein aakey farishtey hisaab hamein
Jabke qabr mein hogaa azaab haamein
Karnaa Aap azaab se hamko rihaa
Ya Nabi Mustafa Ya Nabi Mustafa !
Saare ummati gul se hain taaza.o.tar
Ek Khamosh hai khwaar.o.khasta jigar
Usay gul jo banaao t`aajub hai kya
Ya Nabi Mustafa Ya Nabi Mustafa !
|
|
| Sat Mar 22, 2008 3:39 pm |
|
 |
|
|
|