Forum Pakistan - Pakistani Forums
Pakistani forum, where you can discuss freely on all issues from khabrain, muqabaley, cricket, khail, film, dramay, shair shaery, safar, batein, muhabat kay qissay, warzish, sehat, rozee, akhbar, siasat, naukary ghar pyaar dokan aur karobar gupshup.
|
|
|
| Author |
Message |
|
|
kinguhde
Moderator


Joined: 06 Jul 2008 Posts: 1795 Location: Kingdom of Saudi Arabia |
|
| Woh firaaq aur woh wisaal kahaan? |
|
woh firaaq aur woh wisaal kahaaN ?
woh shab-o-roz-o-maah-o-saal kahaaN ?
fursat-e-kaarobaar-e-shauq kise ?
zauq-e-nazzaraa-e-jamaal kahaaN ?
dil to dil wo dimaaGH bhee na rahaa
shor-e-sauda-e-KHatt-o-KHaal kahaaN ?
thee woh ik shaKHs ke tasavvur se
ab woh raanaai-e-KHayaal kahaaN ?
'eisa aasaaN naheeN lahoo rona
dil meiN taaqat jigar meiN haal kahaaN ?
hamse chooTa qamaar_KHaana-e-ishq
waaN jo jawaiN, girah meiN maal kahaaN ?
fikr-e-duniyaaN meiN sar khapaata hooN
maiN kahaaN aur ye wabaal kahaaN ?
muzmahil ho gaye quwa'a 'GHalib'
wo anaasir meiN 'eitdaal kahaaN
_________________ Don't compare yourself with anyone in this world. If you do so, you are insulting yourself.
 |
|
| Tue Oct 07, 2008 9:40 am |
|
 |
musharaf.siraj
Senior Member Pakistani


Joined: 04 Aug 2008 Posts: 914 Location: Riyadh, Saudi Arabia |
|
| |
|
 |
 |
fursat-e-kaarobaar-e-shauq kise ?
zauq-e-nazzaraa-e-jamaal kahaaN ?
dil to dil wo dimaaGH bhee na rahaa
shor-e-sauda-e-KHatt-o-KHaal kahaaN ? |
Wah king gee thanks to you and Ghalib
|
|
| Tue Oct 07, 2008 1:30 pm |
|
 |
musharaf.siraj
Senior Member Pakistani


Joined: 04 Aug 2008 Posts: 914 Location: Riyadh, Saudi Arabia |
|
| |
|
tanhayee k nazuk lamhon main kuchh tum hi sitaro baat kero
tum ne to wo shab dekhhi hogi jis shab ki sehr ho jati hay
aankhhon mai ashkon ka aana her ashk main un ka afsana
kiya dil k dhadrkne ki un ko b khaber ho jati hay ?????????
|
|
| Tue Oct 07, 2008 1:45 pm |
|
 |
|
|
|