Forum Pakistan - Pakistani Forums
Pakistani forum to discuss Pakistani Media, Siasat, Politics Talk Shows, Khaber Akhbar, Khel, Cricket, Film, Dramas, Songs, Videos, Shairy, Shayari, Pyar Mohabbat ki Kahani, Tourism, Hotels, Fashion, Property, Naukary Gupshup and more.
|
|
| Author |
Message |
|
|
Miss Habib
Forum Family Member


Joined: 26 May 2009 Posts: 9597 Location: Lahore |
|
| Watan Mera Hawala Hai |
|
WATAN MERA HAWALA HY
Kisi ny sach kaha hy ye
Mohabat or kahani myn
Koi rishta nahi hota
Mgr meri mohabat to
Kahani he kahani hy
Mohabat ki kahani myn
Koi raja na rani hy
Na shehzada na shehzadi
Mohabat ki kahani to
Musafat he musafat hy
Mohabat ki musafat hy
Zaroorat ki musafat myn
Musafer wapsi k sary imkaan paas rakhta hy
Mohabat ki musafat myn
Musafer k palatny ka koi rastaa nahi hota
Wo sari kashtiyaan apni
Jala dety hyn sahil pr
K na'umeed hony pr
Palatna bhi agr chahyn
To wapis jaa nahi paayn
Waheen garqaab ho jayn
Mohabat ki kahani myn musafat ki basharat thi
Musafat ty hui to phir
Jala daleen theen main ny bhi
Waheen sb kashtiyaan apni
Jahaan pehla parrao tha
Shikasta jism tha mera
Mery seeny myn ghaao tha
Bharrakta ek alaao tha
Kisi ki chaah myn sb kuch luta kr
Aa gaya tha main
Kahaan pr aa gaya tha main?
Jahaan pehchaan ka apni
Hawala he na milta tha
Hawadas k thaperroon sy
Sanbhala he na milta tha
Shab'e'tera sy nikla tha
Ujaloon ki tamanna myn
Mgr mujh ko kisi jaanib
Ujala he na milta tha
Mger himat nahi hari
Mger himat nahi hari
Yahaan tk aa gaya hoon main
Jahaan hr soo ujala hy
Meri pehchaan hy apni
Watan mera hawala hy
Mujhy is ny sanbhala hy
Isy main ny sanbhala hy
Yehi mera hawala hy
Yehi tera hawala hy
_________________
Barson sajate rahe hum kirdar ko magar
Kuch log bazi le gai soorat sanwar kar
|
|
| Wed May 23, 2012 11:28 am |
|
 |
|
|
|
|
|
|