Forum Pakistan - Pakistani Forums
Pakistani forum, where you can discuss freely on all issues from khabrain, muqabaley, cricket, khail, film, dramay, shair shaery, safar, batein, muhabat kay qissay, warzish, sehat, rozee, akhbar, siasat, naukary ghar pyaar dokan aur karobar gupshup.
|
|
|
| Author |
Message |
|
|
ali
Senior Member Pakistani

Joined: 24 May 2007 Posts: 728 Location: New York |
|
| Unchi tumhaari shaan aqa (SAW) |
|
Unchi tumhaari shaan aqa unchi tumhaari shaan
Rab nay banaya tum ko aqa nabiyon ka sultaan
Mayoos haleema makkay mayn sar apna jhuka-ay betthi thi
Jab daykha rukhay anwaar e nabi to jhum kay bas yay kehti thi
Eh amina bi kay lakht e jigar mayn ja-uun tayray qurbaan
Darbaar e nabi mayn har lamha hasnein kay sadqay batt-tay heyn
Sadqay mayn nawaason kay aqa khush haal tumharay mangtay heyn
Shafa-ay mahshar tum nay ki-ay heyn ham pay baray ihsaan
Ham dukhiyon ka mahbub e khuda mahshar mayn rakhwaala hoga
Rutbay mayn izzat o azmat mayn socho to zara wo kya hoga
Jibreel bhi jiss kay dar ka he ik adna sa darbaan
Sarkar kay haathon mayn logo allah ka saara khazana he
Sarkar kay daynay ka daykho andaaz bhi sab saynirala he
Jiss par ho ja-ay nazar e karam ban ja-ay wohi sultaan
Unchi tumhaari shaan aqa unchi tumhaari shaan
Rab nay banaya tum ko aqa nabiyon ka sultaan
|
|
| Sat Mar 22, 2008 3:13 pm |
|
 |
|
|
|