Forum Pakistan
New User? Register | Search | Memberlist | Log in
Forum Pakistan - Pakistani Forums
Pakistani forum, where you can discuss freely on all issues from khabrain, muqabaley, cricket, khail, film, dramay, shair shaery, safar, batein, muhabat kay qissay, warzish, sehat, rozee, akhbar, siasat, naukary ghar pyaar dokan aur karobar gupshup.
Watch TV OnlineLive RadioListen QuranAkhbarFree SMS PakistanResults OnlineUrdu Editor
Complaint CellUseful LinksJobsOnline GamesCheck EmailPromote usDonations
GEO News LiveDawn News Live TVExpress News
Shaadi Online
Forum Pakistan Awards 2008
DHA Islamabad Balloting Results
Data Entry Operator Jobs Islamabad
Shaadi Online
Tumhara naam museebath mey jab liya hoga,

 
Reply to topic    Forum Pakistan - Pakistani Forums Home » Naats
Tumhara naam museebath mey jab liya hoga,
Author Message
ali
Senior Member Pakistani
Senior Member Pakistani


Joined: 24 May 2007
Posts: 728
Location: New York

Tumhara naam museebath mey jab liya hoga,
Tumhara naam museebath mey jab liya hoga, hamara bigara howa kaam ban gaya hoga

Gunahghaar peh jab lutf Aap ka hoga, kiya baghayr kiya bey kiya kiya hoga

Khuda ka lutf huwa hoga dastagir zaroor, jo girthay girthay thera naam ley liya hoga

aur dikhaey jaaey gi mehshar mein shaane Mahboobi, keh Aap hi ki khushi Aap ka kaha hoga

Khudaey Paak ki chahein gey aglay pichlay khushi, Khudaey Paak khushi un ki chahtha hoga

Kisi key paaon ki beyri yeh kaat-thay hon gey, koi aseere gham unko pukaartha hoga

kisi taraf sey sada aaey gi Huzoor aaow! nahi tho dam mey ghareebon ka faisala hoga

aur kisi key pallay peh yeh hongay waqt wazne amal, koi umeed sey mun unka tak raha hoga

koi kahay ga duhaahi hey Ya Rasulullah! tho koi thaam key daman machal gaya hoga

aur kisi ko ley key chalein gey farishtay sooey jaheem, tho woh un ka raastha phir phir key deykhtha hoga

Shakistha paaon meyray haal ki khabr kar do, koi kisi sey yeh roh roh key keh raha hoga

Khuda key waasthay jald un say arzey haal karow, kisay khabr hai key dhambar mey haal kya hoga

pakar key haath koi haaley dil sunaaey ga, tho roh key qadmon pey koi machal gaya hoga

tho roh key qadmon pey koi lipat gaya hoga

zaban sooki dikha kar koi labay kauthar, Janabay Paak key qadmon pey gir gaya hoga

nishaaney husraway di door mey ghulaamon ko, liwaey hamd ka parcham batha raha hoga

koi qareebay tharazu koi labay kauthar, koi sirat pey unko pukaartha hoga

yeh beykaraar karay gi sada ghareebon ki, keh muqaddas ankhon sey thalaash ka bandha hoga

woh paak dil key nahi jisko apna andeysha, khoj mey fikr o tharado mey gir gaya hoga

hazaar jaan fida narm narm paaon sey, pukaar unkay aseeron ki thortha hoga

azeez bachay ko ma jis tarhay talash karay, Khuda gawa yahi haal Aap ka hoga

Khudai bhar inhi haathon ko deykhthi hogi, zamana bhar unhi qadmon pey lowt-tha hoga

maqaam faasilon par kaam mukhtalif ithnay, woh din zahooray zamanay Huzoor ka hoga

kahein gey aur nabi 'iz habu ila ghairi', meray huzoor keh lab par 'ANA LAHA' hoga

'ANA LAHA' hoga 'ANA LAHA' hoga, 'ANA LAHA' hoga 'ANA LAHA' hoga

Duaey ummath badkaar wirday lab hogi, aur Khuda kay saamney sajdey mey sar jhuka hoga

ghulaam unki inayath say chayn mey hongay, aduw Huzoor ka aafath mey mubthala hoga

aur mey un key dar ka bikari hun fazlay Mouwla sey, Hassan faqeer ka jannat mey bistara hoga

aur ham sab unkey dar key bikari hain fazlay Mouwla sey, ham sab ka jannat mey bistara hoga

insha'Allah!
Sat Mar 22, 2008 3:09 pm View user's profile Send private message
Display posts from previous:    
Reply to topic    Forum Pakistan - Pakistani Forums Home » Naats All times are GMT + 5 Hours
Page 1 of 1

 
Urdu AdabIslam ForumAap Ka SheharNaukariPakistan VisaCricket Forum
PTV LiveGEO LiveLollywood MoviesBollywood MoviesHollywood MoviesPakistani Radio
GupshupPakistani MusicPakistani DramasPoetry ForumPakistan FashionPakistani Recipes
Pakistani Forum Copyright © ForumPakistan.com 2008
sitemap 1 2 3

Contact Us | Advertise | Report Abuse | FP Team | Disclaimer