Forum Pakistan - Pakistani Forums
Pakistani forum, where you can discuss freely on all issues from khabrain, muqabaley, cricket, khail, film, dramay, shair shaery, safar, batein, muhabat kay qissay, warzish, sehat, rozee, akhbar, siasat, naukary ghar pyaar dokan aur karobar gupshup.
|
|
|
| Author |
Message |
|
|
ali
Senior Member Pakistani

Joined: 24 May 2007 Posts: 728 Location: New York |
|
| Taybah kii hai yaad aayee |
|
Taybah kii hai yaad aayee ab ashk bahaanay do
Mahbuub nay aanaa hai rahoon ko sajaanay do
Mushkil ho agar meyra Taybah main abhii jaanaa
Aey baad - e - sabaa merii aa - hoon ko to jaanay do
Mey teri ziyaarat kay qaabil to naheen maanaa
Yaadoon ko shahaa apnii khaabon main to aanay do
Ashkoon kii larhii ko ab tutaney mat deynaa
Aaqa kay liye muj koh kuch haar bananay do
Jo chaaho sazaa deynaa mehbuub kay darbaano
Ik baar to jaalii ko siinaay say lagaanay do
Mehbuub kay qaabil yeh alfaaz kahaan saaim
Ashkoon kii zubaan say ab ik naat sunaanay do
|
|
| Sat Mar 22, 2008 3:07 pm |
|
 |
|
|
|