| Author |
Message |
|
|
Dua
Senior Proud Pakistani

Joined: 05 May 2007 Posts: 2119 Location: Karachi |
|
| Raaste Badal Jate Hain |
|
Raaste badal jaate hain, manzilain badal jaati hain,
Kyun nahin badalte dil jo taqdeerain badal jaati hain
Dil wohi rehta hai, yaadon ki anginat karchaiyaan le ke,
Aankhon ki nami chupa kar, nazrain badal jaati hain
Rooh rehti hai har lamha ashkbaar, lab hanste hain,
Bahar aur andar ki kis tarah fizaain badal jaati hain
Koi hota hai rafta rafta zindagi se door, bohot door
Haathon ki yeh lakeerain kyun aksar badal jaati hain !!
_________________
 |
|
| Sat Mar 22, 2008 5:25 pm |
|
 |
Dua
Senior Proud Pakistani

Joined: 05 May 2007 Posts: 2119 Location: Karachi |
|
| |
|
Mere naseeb main tu nahin shayad
Kyun khel aisa taqdeer ka hota hai
Lakeerain nahin milti hain unse
Jin se ye dil milta hai
Dunya kehti hai
Chand lamhon ka saath tha
Ye dil jaanta hai
Ye umr bhar ka ehsaas tha !!!
_________________
 |
|
| Sat Mar 22, 2008 5:25 pm |
|
 |
Dua
Senior Proud Pakistani

Joined: 05 May 2007 Posts: 2119 Location: Karachi |
|
| |
|
Tum kya ho humare liye, hum keh nahin sakte
Bas itna ki zinda tum bin hum reh nahin sakte
Phir na kehna kabhi humse ki chorh do hum ko
Sirf khyaal hi judai ka tumse, hum seh nahin sakte !!
_________________
 |
|
| Sat Mar 22, 2008 5:26 pm |
|
 |
Raishum
Senior Proud Pakistani

Joined: 13 Feb 2008 Posts: 1410 Location: italy |
|
| |
|
..........beautiful.......
meri zindagi hay zalim tere gham se ashkara
tera gham hay derhaqeeqat mujhe zindagi se piyara
kiya bataon ferq naseh jo hay mujh main aur tujh main
meri zindagi tlatum teri zindagi kinara
main issi main surkharu hoon k mohabbaton ki baazi
wo qadam qadam pe jeete main qadam qadam pe hara
_________________ PROUD MUSLIMAH
ISLAM
  |
|
| Tue Mar 25, 2008 2:24 pm |
|
 |
saffi
Full PK Member

Joined: 11 Mar 2008 Posts: 100 Location: Delhi, India |
|
| |
|
Faasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha
Saamne baitha tha mere aur wo mera na tha
Wo ke khushboo ki tarah phaila tha mere chaar-soo
Main use mehsoos kar sakta tha chhoo sakta na tha
Raat bhar pichhli hi aahat kaan mein aati rahi
Jaank kar dekha gali mein koi bhi aaaya na tha
Khud charha rakhe the tan par ajnabeeyat ke ghilaaf
Warna kab ek doosre ko hamne pehchana na tha
Aqs to maujood the par aqs tanahaai ke the
Aainaa to tha magar us mein tera chehara na tha
Aaj us ne dard bhi apne alehdaa kar diye
Aaj main royaa to mere saath vo royaa na tha
Ye sabhi viraaniyaan us ke juda hone se thin
Aankh dhundhlai hui thi shahar dhundhalaya na tha
Yaad kar ke aur bhi taklif hoti thi adeem
Bhool jaane ke siva ab koi bhi chaara na tha
_________________ ...saffi
"guzar gaya wo zamana kahen to kisse kahen..
..khayal dil ko mere subh-o-sham kis ka tha" |
|
| Thu Mar 27, 2008 10:38 pm |
|
 |
Raishum
Senior Proud Pakistani

Joined: 13 Feb 2008 Posts: 1410 Location: italy |
|
| |
|
 |
 |
Faasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha
Saamne baitha tha mere aur wo mera na tha
Wo ke khushboo ki tarah phaila tha mere chaar-soo
Main use mehsoos kar sakta tha chhoo sakta na tha
Raat bhar pichhli hi aahat kaan mein aati rahi
Jaank kar dekha gali mein koi bhi aaaya na tha
Khud charha rakhe the tan par ajnabeeyat ke ghilaaf
Warna kab ek doosre ko hamne pehchana na tha
Aqs to maujood the par aqs tanahaai ke the
Aainaa to tha magar us mein tera chehara na tha
Aaj us ne dard bhi apne alehdaa kar diye
Aaj main royaa to mere saath vo royaa na tha
Ye sabhi viraaniyaan us ke juda hone se thin
Aankh dhundhlai hui thi shahar dhundhalaya na tha
Yaad kar ke aur bhi taklif hoti thi adeem
Bhool jaane ke siva ab koi bhi chaara na tha |
Saffi.....U have......amazing choice...........
_________________ PROUD MUSLIMAH
ISLAM
  |
|
| Fri Mar 28, 2008 2:58 pm |
|
 |
Riya
Forum Family Member

Joined: 05 May 2007 Posts: 7199 Location: Islamabad |
|
| |
|
Zindagi jaisay aik saza ho gai hai
Dektay dekhtay kia se kia ho gai hai
Jab se choora hai touney meray dil ka nagar
Dhoul se haar gali ashna ho gai hai
Sar khushi ki kayfiyat tari rehti thi haar dam
wo bhi hum se na janay kahan kho gai hai
Tou jo rootha hay mujh se too yeh to bata
meri kia thi khata jo saza ho gai hai
Meray lafzoon ki taqat na teray lehjay ki chahat
lagta hay har sada be sada ho gai hai
_________________
 |
|
| Sat Mar 29, 2008 4:44 pm |
|
 |
Riya
Forum Family Member

Joined: 05 May 2007 Posts: 7199 Location: Islamabad |
|
| |
|
Miltay hain hum jab bhi kisi say
koi fasana banta hay…….
Naye fasay banty hain guzro ko bhulana parta hay
Choro choro kissa purana
Yaad dela kar karna kya….
Taire ankh kay Ansoo mairy……..
Kisi nay yeh lakh baar kaha tha
Jab bhi chalkay mairy ansoo
Main nay Amanat samjh kay oski kabhi na poncha,
Ankho nay tha rasta dhaika
Jab jab bhi main ruye thi…
Thak gaye anhay rasta dhaiky
Anso mairy Khushak hoyen
Par koi ponchnay kabhi na aya
Shukar hay ab to ankho nay
runa dhona choor diya
In bato ko duhrana kya
Choro choro kissa purana………
Yaad dela kar karna kya…………
Dunya ki is bheer mian aksar
Jab bhi geri hoon
Chotto ki shidat say dil hi dil main bilak pare hoon
Ab kay day ga koi sahara
Ek ahatt sunnay ki khatir
Har ek baar main chup hi rahi hoon
Yeh na ho hum phir ger jayen
Ab to chalna choor diya
Jab hum nay sambhalna seekh liya
Un dardo ko duhrana kya
Choro choro kissa purana….
Yaad dela kar karna kya………
Tanhaye kay sannatto main
Tairy yeh alfaz hain gonjay
Sath rahy hum ya na rahy hum
Donga tumhara sath hamishaaaa
Yaad na hoga osy magar
Haan… yahi kaha tha……..
Oska yeh wadda main nay
Man hi man main kitna duhraya
Dhonda osko our kahi na paya
Tanhaye ki banho nay phir mujhy samaita
Our samjhayaa..
Choro choro kissa purana……
Yaad dela kar karna kya……..
Jahan say hum tum sath thy guzary
Tanha wahan say guzar rahi hoon
Sooch rahi hoon
Dunya waqi bheer hi hay
Jis main loge hath mila kar kho jaty hain
Lakin main to wahi khari hoon
Chalo chalo hum bhi chal niklay
Kho jayen is bheer main hum bhi
Yeh to hay dastoor jahan ka
Jalna kya jal jana kya
Choro choro kissa purana…
Yaad dela kar karna kya……
_________________
 |
|
| Sat Mar 29, 2008 4:45 pm |
|
 |
saffi
Full PK Member

Joined: 11 Mar 2008 Posts: 100 Location: Delhi, India |
|
| mujhe khabar thi wo mera nahi paraya tha |
|
mujhe khabar thi wo mera nahi paraya tha
par dhadkanon ne usi ko khuda banaya tha
main khwaab khwaab jise dhoondhta raha barson
wo ashq ashq meri aankh mein samaya tha
tera kasoor nahi jaan meri tanhaayi
ye rog maine hi khud jaan ko lagaya tha
tamaam sheher mein ek wo hai ajnabee mujhse
ke jisne geet mera sheher ko sunaya tha
_________________ ...saffi
"guzar gaya wo zamana kahen to kisse kahen..
..khayal dil ko mere subh-o-sham kis ka tha" |
|
| Sun Mar 30, 2008 2:22 pm |
|
 |
Raishum
Senior Proud Pakistani

Joined: 13 Feb 2008 Posts: 1410 Location: italy |
|
| |
|
 |
 |
Zindagi jaisay aik saza ho gai hai
Dektay dekhtay kia se kia ho gai hai
Jab se choora hai touney meray dil ka nagar
Dhoul se haar gali ashna ho gai hai
Sar khushi ki kayfiyat tari rehti thi haar dam
wo bhi hum se na janay kahan kho gai hai
Tou jo rootha hay mujh se too yeh to bata
meri kia thi khata jo saza ho gai hai
Meray lafzoon ki taqat na teray lehjay ki chahat
lagta hay har sada be sada ho gai hai |
Riya.....dear....very beautiful.....
_________________ PROUD MUSLIMAH
ISLAM
  |
|
| Mon Mar 31, 2008 2:57 pm |
|
 |
saffi
Full PK Member

Joined: 11 Mar 2008 Posts: 100 Location: Delhi, India |
|
| |
|
wo jo ham mein tum mein qarar tha tumhen yaad ho ke na yaad ho
wohi yani wada nibhah ka tumhen yaad ho ke na yaad ho
wo naye gile wo shikayaten wo maze maze ki hikayaten
wo har ek baat pe roothna tumhen yaad ho ke na yaad ho
koi baat aisi agar hui jo tumhare ji ko buri lagi
to bayan se pahale hi bhoolana tumhen yaad ho ke na yaad ho
suno zikr hai kai saal ka, koi wada mujh se tha ap ka
wo nibahane ka to zikr kya, tumhen yaad ho ke na yaad ho
kabhi ham mein tum mein bhi chaah thi, kabhi ham se tum se bhi raah thi
kabhi ham bhi tum bhi the aashna, tumhen yaad ho ke na yaad ho
hue ittefaq se gar baham, wo wafa jatane ko dam-ba-dam
gilaa-e-malaamat-e-arqabaa, tumhen yaad ho ke na yaad ho
wo jo lutf mujh pe the beshtar, wo karam jo tha mere haal par
mujhe sab hain yaad zara zara, tumhen yaad ho ki na yaad ho
kabhi baithe sab hain jo roo-ba-roo to isharaton hi se guftagoo
wo bayan shauq ka baramalaa tumhen yaad ho ki na yaad ho
wo bigadna wasl ki raat ka, wo na maan..na kisi baat ka
wo nahin nahin ki har aan ada, tumhen yaad ho ki na yaad ho
jise ap ginte the aashna jise ap kahate the bawafa
main wahi hoon "Momin"-e-mubtila tumhen yaad ho ke na yaad ho
_________________ ...saffi
"guzar gaya wo zamana kahen to kisse kahen..
..khayal dil ko mere subh-o-sham kis ka tha" |
|
| Mon Mar 31, 2008 8:16 pm |

main wahi hoon "Momin"-e-mubtila tumhen yaad ho ke na yaad ho |
bohat ....khub........zaberdast
_________________ PROUD MUSLIMAH
ISLAM
  |
|
| Mon Mar 31, 2008 8:32 pm |
|
 |
shakeelmscw
Shayari Moderator

Joined: 22 Aug 2007 Posts: 5199 Location: United Arab Emirates |
|
| |
|
 |
 |
Faasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha
Saamne baitha tha mere aur wo mera na tha
Wo ke khushboo ki tarah phaila tha mere chaar-soo
Main use mehsoos kar sakta tha chhoo sakta na tha
Raat bhar pichhli hi aahat kaan mein aati rahi
Jaank kar dekha gali mein koi bhi aaaya na tha
Khud charha rakhe the tan par ajnabeeyat ke ghilaaf
Warna kab ek doosre ko hamne pehchana na tha
Aqs to maujood the par aqs tanahaai ke the
Aainaa to tha magar us mein tera chehara na tha
Aaj us ne dard bhi apne alehdaa kar diye
Aaj main royaa to mere saath vo royaa na tha
Ye sabhi viraaniyaan us ke juda hone se thin
Aankh dhundhlai hui thi shahar dhundhalaya na tha
Yaad kar ke aur bhi taklif hoti thi adeem
Bhool jaane ke siva ab koi bhi chaara na tha |
Nice post
_________________ *(`'·.¸(`'·.¸*¤*¸.·'´)¸.·'´)*
«´¨`·.Shakeel Ahmed ..·´¨`»
*(¸.·'´(¸.·'´*¤*`'·.¸)`'·.¸)*
(((**A happy person is not a person in a certain set of circumstances, but rather a person with a certain set of attitudes**)) |
|
| Mon Mar 31, 2008 9:59 pm |
|
 |
saffi
Full PK Member

Joined: 11 Mar 2008 Posts: 100 Location: Delhi, India |
|
| |
|
Kitne deepak teri yaadon mein jalye maine
saikdon geet tere pyaar mein gaaye maine
ab koi geet na gaane ki kasam khaata hoon
aaj phir tujhko bhoolne ki kasam khata hoon
jazbaay-e-ishq ko kabhi aam na hone doonga
is fasaane ka anjaam na hone doonga
apni khaatir tujhe badnaam na hone doonga
khud har ilzaam uthane ki kasam khaata hoon
zikr-e-bedaar ye furkat na karunga tujhse
ye nahin hai ke mohabbat na karunga tujhse
ye hai ki kisi ghum ki shikayat na karunga tujhse
teri mehfil mein na aane ki kasam khaata hoon
apne markaz pe ba-dastoor chala aaya hoon
dil se majboor tha majboor chala aaya hoon
yoon to manzil se bahut door chala aaya hoon
aur bhi door ab jaane ki kasam khaata hoon
_________________ ...saffi
"guzar gaya wo zamana kahen to kisse kahen..
..khayal dil ko mere subh-o-sham kis ka tha" |
|
| Tue Apr 01, 2008 10:21 pm |
|
 |
saffi
Full PK Member

Joined: 11 Mar 2008 Posts: 100 Location: Delhi, India |
|
| |
|
aansuon se hi sahi bhar gaya daaman mera
hath to maine uthaye the dua kiski thi??
_________________ ...saffi
"guzar gaya wo zamana kahen to kisse kahen..
..khayal dil ko mere subh-o-sham kis ka tha" |
|
| Sat Sep 06, 2008 12:11 am |
|
 |
|