Forum Pakistan - Pakistani Forums
Pakistani forum, where you can discuss freely on all issues from khabrain, muqabaley, cricket, khail, film, dramay, shair shaery, safar, batein, muhabat kay qissay, warzish, sehat, rozee, akhbar, siasat, naukary ghar pyaar dokan aur karobar gupshup.
|
|
|
| Author |
Message |
|
|
chahsanashraf
Moderator


Joined: 14 Sep 2008 Posts: 2744 Location: Bahawalpur Pakistan |
|
| Mujhay apnay roop ki dhoop do |
|
Tumhein Jab kabhi milein Fursatein Meray dil se boojh utaar do
Mein buhat dino se udaas hoon mujhay koi shaam udhaar do
Mujhay apnay roop ki dhoop do, k chamak sakein meray khaal-o-khad
Mujhay apnay rang mein rang lo, mera saara zang utaar do
Meri weh'shatoon ko berr'ha dia hai Judaiy'on k azaab nay
Meray dil pe haath rakho zara, meri dharrkano'n ko qaraar do
Kisi aur ko meray haal se na gharaz hai na koi waasta
Mein bikhar gaya hoo'n samait lo, Mein bigarr gaya hoon sanwaar do
Tumhein Sub'ha kesi lagi kaho, meray khwahishoo'n k dayaar ki
Jo bhali lagi to yahein raho, isay chah'too'n se nikhaar do
_________________
 |
|
| Sun Nov 16, 2008 5:04 pm |
|
 |
chahsanashraf
Moderator


Joined: 14 Sep 2008 Posts: 2744 Location: Bahawalpur Pakistan |
|
| |
|
na sama'tooN maiN tapash ghulaY na nazaR ko waqf-e-azab kaR
jo sunaie daY usaY chup sikha jo dekhie day usaY khawab kaR
abhi muntashiR na ho ajnabi na visal-e-rut k kaRam jataa
jo teRi talash maiN ghum huwaY kabhi un dino ka hisaab kaR
meRay sabaR peR koi ajaR kia meRi dopahaR pe ye abaR keoN?
mujhaY Oo'ranY daY ye azee'aateiN meRi adtaiN na khaRab kaR
ye hajoom-e-shahaR sitam gara'N na sunay gha teRi sada kabhi
meRi hasratooN ko sukhaN suna meRi khwa'heshoN se khitaab kaR
ye jaloos-e-fasl-e-bahaR hai tahee dast yaaR saja isaY
koi ashaak phiR se sharaR bana koi zakham phiR se gulaab kaR
_________________
 |
|
| Sun Nov 16, 2008 5:06 pm |
|
 |
chahsanashraf
Moderator


Joined: 14 Sep 2008 Posts: 2744 Location: Bahawalpur Pakistan |
|
| |
|
Har shamma bujhi rafta rafta, Har khwaab luta dheeray dheeray
Sheesha na sahi pathar bhi na tha dil,Toot gaya dheeray dheeray
Barson main marasim bantay hain,Lamhon main bhala kia tootainge
Tu mujhse bicharna chahye toh,Deewar utha dheeray dheeray
Ehsaas hua barbaadi ka jab,Saray ghar main dhool urri
Aai hai hamaray ghar main,Pathjhar ki hawa dheeray dheeray
Woh haath paraaye ho bhi gaye,Ab duur ka rishta hai "Qaiser"
Aati hai meri tanhayee main,Khushboo-e-Hina dheeray dheeray
_________________
 |
|
| Sun Nov 16, 2008 5:09 pm |
|
 |
Aatish345
Member of the Month


Joined: 20 Sep 2008 Posts: 5470 Location: Dubai |
|
| |
|
Tera Chehraa hai jab say aankhoon mein............!
Meri Aankhoon say loog jaltay hain...........!
|
|
| Sun Nov 16, 2008 5:42 pm |
|
 |
|
|
|