Forum Pakistan - Pakistani Forums
Pakistani forum, where you can discuss freely on all issues from khabrain, muqabaley, cricket, khail, film, dramay, shair shaery, safar, batein, muhabat kay qissay, warzish, sehat, rozee, akhbar, siasat, naukary ghar pyaar dokan aur karobar gupshup.
|
|
|
| Author |
Message |
|
|
ali
Senior Member Pakistani

Joined: 24 May 2007 Posts: 727 Location: New York |
|
| mujh peh mowla ka karam hai unki naatein parda hun |
|
mujh peh mowla ka karam hai unki naatein parda hun
Daman apna Rab ki Rahmat sey mey har dam bharta hun
mey sadqay Ya Rasulullah, Mey Sadqay Ya Habeeballah
Dhoom unki naat Khwani ki machatey jaaein gey
Ya Rasulullah ka nara lagatey jaaein gey
Naat khwaani mowth bhi ham sey chura sakti nahi
Qabr mey bhi Mustafa keh geeth gathay jaaein gey
Kitna bara hai mujh peh yeh ehsaaney Mustafa
kehtay hai lowg mujh ko sana khwanay Mustafa
mujh peh Mowla ka karam hai, Unki naatein padti hun
Daman apna Rab ki Rahmat sey mey har dam badti hun
mey sadqay Ya Rasulullah, Mey Sadqay Ya Habeeballah
Meray baghshish paas apnay kuch nahi iss key siwa
umr bhar naatein sunein gey aur sunatey jaaein gey
Naat khwaani ka nasha nas nas mey aysa cha gaya
qabr mey bhi geet Obaidam Mustafa keh gaaein gey
koi guftago ho lab par Tera naam agaya hai
Tera zikr karte karte yeh maqaam agaya hai
jisey pee keh shaykh Saadi Balaghal ula pukaray
Balaghal ula bikamailihi, kashafatuja bi jamalihi
hasunat jami-o hisaalihi, Sallu alaihi wa aalihi
jisey pee keh shaykh Saadi Balaghal ula pukaray
meray daste naat khwan mey wohi jaam agaya hai
Jitna diya Sarkar ney mujh ko utni meri awkaat nahi
yeh tho karam hai Unka warna mujh mey tho aysi baat nahi
ghor tho kar Sarkar ki thuj peh khaas inayat hai
Kauser thu hai unka sana khwaan yeh ma'muli baat nahi
Tera wasf bayan ho kis sey Teri kown karey ga badahi
is ghar dey safar mey ghum hai Jibr'il-e-ameen ki rasaee
Ay Raza khud sahibay Qur'an hai madha hai Huzoor
Thuj sey kab mumkin phir midhat Rasulullah ki
Gham nahi chowr dey yeh sara zamana mujh ko
meray Aqa tho hai seenay sey laganay keh liya
Bakhsh di naat ki dolat meray Aqa ney mujhay
kitna piyara hai waseelah Sarkar ko panay keh liyey
Seenay mey badha hai Teri naaton ka khazana
Alam mey luta ta hun kamaee Teray dar ki
mey sadqay Ya Rasulullah, Mey Sadqay Ya Habeeballah
|
|
| Thu Mar 20, 2008 5:00 pm |
|
 |
|
|
|