Forum Pakistan - Pakistani Forums
Pakistani forum, where you can discuss freely on all issues from khabrain, muqabaley, cricket, khail, film, dramay, shair shaery, safar, batein, muhabat kay qissay, warzish, sehat, rozee, akhbar, siasat, naukary ghar pyaar dokan aur karobar gupshup.
|
|
|
| Author |
Message |
|
|
ali
Senior Member Pakistani

Joined: 24 May 2007 Posts: 727 Location: New York |
|
| Mujh Bhi Madinay Bula Mere Mola |
|
"NAAT"(Salallala Alaehi Wasallam)
Mujhay bhi Madinay bula mere MOLA
Karam ki Tajalli dikha mere MOLA
Bohet beqarari kay Alam main hoon main
Meri beqarari mitta mere MOLA
Suna hay Madina karam hi karam hay
Tu rekhta jahan main sabhi ka bharam hay
Tujhay wasta tere piyaray Nabi(S.A.W.W) ka
Meri ab to bigri bana mere Mola
Yeh dono jahan tere zer-e-aser hain
Jo Tujh ko na maanain bare baykhaber hain
Naheen jantay jo tere Ghazab ko
Unhay ghaflatoon say jaga mere Mola
Jisay Tu nay chaha main us pay Fida hoon
Main Tere Muhammad(S.A.W.W) kay der ka gada hoon
Tujhay wasta kerbala ki zameen ka
Mujhay her bala say bacha mere MOLA
Shafa't ka wada keya Tu nay jis say
Gunnah gaaar umeed rekhtay hain Tujh say
Shafa't kerain tujh say ummat ki Aqa
Tu kerna sabhi ka Bhala mere MOLA
Muhammad(S.A.W.W) ko Tu nay jo Quran deya hay
Karoroon diloon main mukamal chupa hay
Ay..Quran kay Khaliq guzarish hay Tujh say
Mere Dil main Quran basa mere Mola
Mujhay bhi Madinay bula mere MOLA
Karam ki Tajalli dikha mere MOLA....!!
|
|
| Thu Mar 20, 2008 4:53 pm |
|
 |
|
|
|