Forum Pakistan - Pakistani Forums
Pakistani forum, where you can discuss freely on all issues from khabrain, muqabaley, cricket, khail, film, dramay, shair shaery, safar, batein, muhabat kay qissay, warzish, sehat, rozee, akhbar, siasat, naukary ghar pyaar dokan aur karobar gupshup.
|
|
|
| Author |
Message |
|
|
Ayesha
Senior Member Pakistani


Joined: 15 Feb 2007 Posts: 765
|
|
| Khusbouon ki tarha meri har saans main |
|
WADA KARO
Khusbouon ki tarha meri har saans main
piyar apna basanay ka wada karo
ranng jitnay tumhari mohabbat kay hain
meray dil main sajanay ka wada karo
hai tumhari wafaon pay mujko yakeen
phir bhi dil chahta hai meray dil nasheen
yoonhi meri tasali ki khatir zara
mujko apna bananay ka wada karo
jab mohabbat ka iqrar kartay ho tum
dhadkanoon main naya rang bhartay ho tum
baarha kar chukay ho, magar aj phir
mujhko apna bananay ka wada karo
sirf lafzoon say iqrar hota nahi
ik janib say hi piyar hota nahi
main tumhain yaad rakhnay ki khaon qasam
tum mujko na bhulanay ka wada karo
|
|
| Mon Dec 17, 2007 1:24 am |
|
 |
Ayesha
Senior Member Pakistani


Joined: 15 Feb 2007 Posts: 765
|
|
| |
|
Waqt Ki Dhaar K Sath Hum Chalte Hain
Isi Ada Pe To Log Hum Pe Marte Hain
SMs Ki Dunya K Hum Betaj Badshah Hain
Isi Liye Log Hum Ko sMs Karne Se Darte Hain
|
|
| Mon Dec 17, 2007 1:25 am |
|
 |
tanveerahtr
Pak Newbie
Joined: 24 Dec 2007 Posts: 18
|
|
| |
|
Chalo aao phir kisi
din mulaaqaat kar
kay dekhein,
Beeti hui baaton
ko phir yaad kar
kay dekhein,
kuch gham bhi
bhool jaayein kuch
dooriaan bhi kam
hon,
Aik shaam ko aik
doosrey kay naam
kar kay dekhein,
Jo reh gayee thi dil
mein jo tum ko thi
bataani,
Phir miley na miley
moqah woh baat
kar kay dekhein,
Youn baaton hi
baaton mein wo
baat bhi ho jaaey,
Jis baat mein woh
baat ho woh baat
kar kay dekhein.
|
|
| Sun Jan 13, 2008 1:34 am |
|
 |
|
|
|