| Author |
Message |
|
|
Nomi
Full PK Member


Joined: 05 May 2007 Posts: 358 Location: ISLAMABAD |
|
| Khizaan |
|
ye zard mausam ke Khushk patte
havaa jinhain le gai uraa kar
agar kabhi in ko dekh pao
to soch lena
ki in mein har barg ke namu mein
ziyam gaya arq shaKh-e-gul ka
kabhi ye sar_sabz konpalein the
kabhi ye shaadaab bhi rahe hain
khule huye honth ki tarah narm aur shagufta
bahut dinon tak
ye sabz patte
hava ke relon mein bebasii se tarap chuke hain
magar ab ye Khushk ho rahe hain
magar ye ab Khushk ho chuke hain
agar kabhii is taraf se guzaro
to dekh lenaa
barahanaa shaakhein havaa ke dil mein garhi hui hain
ye ab tumhare liye nahin hain
_________________


Last edited by Nomi on Mon May 05, 2008 6:39 pm; edited 1 time in total |
|
| Mon May 05, 2008 6:33 pm |
|
 |
Nomi
Full PK Member


Joined: 05 May 2007 Posts: 358 Location: ISLAMABAD |
|
| |
|
Agarchay ab zameen hon kay kabhi aasman tha main
Toot kay bikhar chuka hon magar kabhi chitaan tha main
Roshni ki arzooain thain magar kuch aisa wiran tha main
Gali kay aakri siray par sab say tareek makan tha main
Kushboo ka rafeek tha phoolon ka razdan tha main
Magar ab kay to bahar rotoon main bhi banjar khizaan tha main
Kisi dashat ki nazar ho chuka koi karwan tha main
Bay noor sitaraon ka ujra ajab kahkashan tha main
Hawaoon say dostiyon ka shook tha magar natwan tha main
Jo kashti ki tabahi ka sabab tha wo badnaseeb badbaan tha main
Bazmay yar main tanha baitha bohat hiraan tha main
Wo zindagi thi mairi aur kal tak us ki jaan tha main
Wafai hazaar dukh ki talkiyaan, warna aisa kahan tha main
Bohat naram go tha, bohat shireen zaban tha main
_________________

 |
|
| Mon May 05, 2008 6:34 pm |
|
 |
Nomi
Full PK Member


Joined: 05 May 2007 Posts: 358 Location: ISLAMABAD |
|
| |
|
Khizaan rakhegii darakhton ko be-samar kab tak
Guzar hii jaayegii ye rut bhii hauslaa rakhnaa
_________________

 |
|
| Mon May 05, 2008 6:35 pm |
|
 |
Nomi
Full PK Member


Joined: 05 May 2007 Posts: 358 Location: ISLAMABAD |
|
| |
|
SUNA HAI!!!
Suna hai, shikaar e khizaan ho ker bahar ki rut main
jo shajar sookh jatey hain woh phir harey nahee hotey
Suna hai, wafa deemak ban ker jinhen chaat jati hai
woh wafaoon key peker kuch aesey bikhartey hain
key kirchioon main bhi phir unka pata nahee milta
Suna hai, kabhi ye rut aesey bhi badalti hai
key sarey meherbaa lafz yekdam kaheen kho jatey hain
aur kisi meherbaa si saa at ka koi sira nahee milta
Suna hai, jab wojood reza hota hai
to toot phoot buhut beawaz hoti hai
faqat aik khamoosh sa mausam
aik sunsaan sa rasta
aik weeraan si saa at
aur aik gumnaam sa lamha
yun hamsafar hotey hain goya sadiyoon ki rafaqat ho
Suna hai,
aandhiion ki zad main aa ker phool jo bikhar jayen
woh phir simta nahee kertey
Kisi pur ranj si saa at ka jo nishana ban key kho jayen
woh phir palta nahee kertey
Aey charagar,
suna to main ney ye sab kuch hai
magar meri duayeen hain aik silsila
meri umeed hai mera hosla
Mujhey mojzoon pey yaqeen hai!
Mujhey mojzoon pey yaqeen hai!!!!!!
_________________

 |
|
| Mon May 05, 2008 6:35 pm |
|
 |
Nomi
Full PK Member


Joined: 05 May 2007 Posts: 358 Location: ISLAMABAD |
|
| |
|
Mein kai ruton sey hoon dekhta keh tamaam rang hein bujhey huwey
Ye ab ke khizaan ko kya huwa kiun meri nighaah mein thehar gai
Mein kya bataaon ke ab ki baar chaman ki haalat ajeeb thi
Har phool maatam-sara mila meri jahan jahan bhi nazar gai
Ye kon jaaney ke kya huwa mein dhoond dhoond ke thak gaya
Ke wo jo aek titli thi baagh mein wo bhi naajaaey kidhar gai
Abhi hey zara wo asar jisey meri zaat ney pooja kabhi magar
Wo junoon to kab ka khatam huwa wo soorat to dil sey utar gai
Mujhey kis jurm ki saza mili ke meri rooh tak hey thaki hui
Mein apni jaga sey hilaa nahi meri saans phir bhi ukharr gai
Ye chiraagh-e-jaan bhi ajeeb hey ke jala huwa hey abhi talak
Teri bewafaai ki aandhiyaan to kabhi ki aa ke guzar gai
Merey aasmaan ke haath mein bas aek chaand tha aas ka
Usey baadlon ney nigal liya to meri kaaeynaat hi ujarr gai
_________________

 |
|
| Mon May 05, 2008 6:35 pm |
|
 |
Nomi
Full PK Member


Joined: 05 May 2007 Posts: 358 Location: ISLAMABAD |
|
| |
|
Khizan kay mousam sey gulaab maang raha hai
phir apney liye koi azab maang raha hai
Jaan mangta to mein zara taghaful na karta
magar woh mujh se mere khawab maang raha hai
Ata kar k mere zeest ko hijr ki aziyatien
aur mujh se visaal-e-rut k hisaab maang raha hai
Khataien karna hi raha mashghala uss ka
mein kiya doon sila ussey woh sawab maang raha hai
Apni samjh mein uss ki guftagu bhi nahi aati
aur woh ankahey sawaloon kay jawab maang raha hai
Mujh ko apney wajood pe bhi dastaras nahi hasil
aur dil-e-nadan hai mehtaab maang raha hai
Koi zindagi se ghabra gaya iss qadar
kashti ka musafir hai aur gardaab maang raha hai
_________________

 |
|
| Mon May 05, 2008 6:36 pm |
|
 |
Nomi
Full PK Member


Joined: 05 May 2007 Posts: 358 Location: ISLAMABAD |
|
| |
|
Us Ne Kaha Kon Hai Tumhay Bohat Aziz
Main Ne Kaha DIl Pay Jis Ka Ikhtiyar Hai
Us Ne Kaha Kon Sa Tofha Do Main Tumhay
Main Ne Kaha Wahi Sham Jo Abhi Tak Udhar Hai
Us Ne Kaha Khizan Main Milnay Ka Jawaz
Main Ne Kaha Qarb Ka Mutlab Bahar hai
Us Ne Kaha Sekron Gham Zindagi Main Hain
Main Ne Kaha Ghum Nahi Jub Sath Ghum Guzar Hai
Us Ne Kaha Sath Kahan Tak Nibhao Gay
Main Ne Kaha Jub Tak Yah Sanson Ki Taar hai
_________________

 |
|
| Mon May 05, 2008 6:36 pm |
|
 |
Nomi
Full PK Member


Joined: 05 May 2007 Posts: 358 Location: ISLAMABAD |
|
| |
|
Wafa mein Aab yeah hunar Ikhtiyaar karna hai..
Woh sach kahay na kahay aaitbaar karna hai..
Yeah tujh ko jaagtay rehnay ka shouq kab say howa ?
Mujhay tu khair taira intazaaar karna hai
Hawa ke zad mein jalanay hain ansoon kay chiraagh
Kabhi yeah jashan sar rah'guzaar karna hai
woh muskura kay naye waswasoon mein daal gaya
Khayaal tha keh ussay sharamsaar karna hai
Misaal e shaakh e barhana khizan ke rut mein kabhi
Khud apnay jisam ko bay barg o baar karna hai
tairay firaaq mein din kiss tarhaan kattain apnay
Keh shughal e shab tu sitaray shumaar karna hai
Chaloo yeah ashak hee moti samajh kay baich ayain
Kissi tarhaan tu humain rooz'gaar karna hai
Kabhi tu dil mein chupay zakham bhi numayaan hoon
Qaba samajh kay badan taar taar karna hai
Khda khabar yeah koi zid keh shouq hai mohsin
Khud Apni jaan kay dushman say payaar karna hai
_________________

 |
|
| Mon May 05, 2008 6:37 pm |
|
 |
Nomi
Full PK Member


Joined: 05 May 2007 Posts: 358 Location: ISLAMABAD |
|
| |
|
Khizaan Ki Barish
teray khayal ki barish dareecha e dil mein
gaye dinon kay manazir haseen jagati hai
yeh abr e shaam ameen` hai hamarey jazbon ka
har aik boond mein ik dastaan muqayyad hai
kahin woh pal hain jo ik doosrey ki sangat mein
jahan sey bey khabar apni hi dhun mein guzrey hain
kaheen firaq ki raton mein chandni bojhal
teray udaas mizajon ka pata deti hai
milan ki aas ka nanha sa aik pair kahin
samoom-e-hijr abhi tak jisey gira na saki
yeh kesa abr hai k saal bhar barasta hai
magar yeh jee na kisi tor bhi behelta hai
isey yeh ilm nahin yeh khizaan ki barish hai
baras bhi jaaye to konpal na koi khilni hai
meray naseeb mein yeh barishein hi likhkhi hain
teray wisal ka sooraj nahin nikalna hai
tamam umr inhi barishon mein jalna hai
_________________

 |
|
| Mon May 05, 2008 6:37 pm |
|
 |
Nomi
Full PK Member


Joined: 05 May 2007 Posts: 358 Location: ISLAMABAD |
|
| |
|
Siyaah hijr gaya , zard intezaar gayey
kisi ka dard gaya dard k hisaar gayey
udaas raat, khizaan humsafar,safar gumnaam
teray khayaal k mausam humain tou maar gayey
naa jaan bharakti hay apni naa raakh hotey hain
humain yeh kaisi museebat main tum utaar gayey
ajeeb dushman-e-jaan tha k bin larhey jeeta
ajeeb jung thi hum jis main haar haar gayey
bohat hee thori see muhallat mili muhabbat ki
hum apna aap magar jaatey jaatey waar gayey
kisi k bhaijey huay aagayey thay dunya main
kisi say maangi hui zindagi guzaar gayey
na chaand atqa kisi jaa na badliyaan atkeen
hum uski raat k aangan main baar baar gayey!!
_________________

 |
|
| Mon May 05, 2008 6:37 pm |
|
 |
Nomi
Full PK Member


Joined: 05 May 2007 Posts: 358 Location: ISLAMABAD |
|
| |
|
Rah-e-Khizaan mein talash-e-bahaaar kartey rehey
Woh aik tarfaa sehi Tum sey pyaar karty rehy
HAy kia Tamasha idhar ranjishain bharti he rehin
Taluqaat humain Estawar karty rehy
Guzar gai jo ghari Loot kar na aai kabi
Talash-o-sehar bar bar kartey rehy
Tumhari chah Mein jitney bi zakham hum ko miley
Muhabatoon mein Hum oun ka shumaar kartey rehy
Teri aana Pe humain Ikhtiyaar he kab tha
Tamam Umar tera Intazar kartey rehy
NOMI Log gharoon ko sajjey bethey hain
Fir0g-e-Hussan Faqat Barg-o-Baar karty rehy
_________________

 |
|
| Mon May 05, 2008 6:38 pm |
|
 |
shakeelmscw
Shayari Moderator


Joined: 22 Aug 2007 Posts: 5187 Location: United Arab Emirates |
|
| |
|
Kizzan ki goodh main bhi phool muskraa utthain
Kuch iss tarraah say bahharon ka aihteram karo
_________________ *(`'·.¸(`'·.¸*¤*¸.·'´)¸.·'´)*
«´¨`·.Shakeel Ahmed ..·´¨`»
*(¸.·'´(¸.·'´*¤*`'·.¸)`'·.¸)*
(((**A happy person is not a person in a certain set of circumstances, but rather a person with a certain set of attitudes**)) |
|
| Tue May 06, 2008 9:54 pm |
|
 |
inayat khan qazi
Senior Member Pakistani

Joined: 03 Apr 2008 Posts: 558 Location: 55743 idar-oberstein Germany |
|
| |
|
"JAATE MOUSAM NE JISE CHORR DIYA TANHA
MUJH ME UN TOOT THE PATOH KI JHALAK HE KITNI.
|
|
| Thu May 08, 2008 6:46 pm |
|
 |
|