Forum Pakistan
New User? Register | Search | Memberlist | Log in
Forum Pakistan - Pakistani Forums
Pakistani forum, where you can discuss freely on all issues from khabrain, muqabaley, cricket, khail, film, dramay, shair shaery, safar, batein, muhabat kay qissay, warzish, sehat, rozee, akhbar, siasat, naukary ghar pyaar dokan aur karobar gupshup.
Watch TV OnlineLive RadioListen QuranAkhbarFree SMS PakistanResults OnlineUrdu Editor
Complaint CellUseful LinksJobsOnline GamesCheck EmailPromote usDonations
GEO News LiveDawn News Live TVExpress News
Shaadi Online
Forum Pakistan Awards 2008
DHA Islamabad Balloting Results
Data Entry Operator Jobs Islamabad
Shaadi Online
Karaam maangtey

 
Reply to topic    Forum Pakistan - Pakistani Forums Home » Naats
Karaam maangtey
Author Message
ali
Senior Member Pakistani
Senior Member Pakistani


Joined: 24 May 2007
Posts: 728
Location: New York

Karaam maangtey
Karaam maangtey hain'ataa maangtey hain
Madiine ko jaae'n du'aa maangtey hain
Madiine ke waalii Madiine bulaa lo
Madiine main thorhii jagah maangtey hain



Hai shayr-e-Madiinah do'aalam seh pyaara
Jo maskan banaa hai habiib khudaa ka
Hain Ahl-e-Madiinah hamain jaan se pyaarey
Madiinah Madiinah sadaa maangtey hain



Jalaatii hain furqat ki kaalii ghataa'in
Rulaatii hain taybah ki rangeen fazaa'in
Dile muztarib ko kahaan chain aa'ey
Madiine ki thandii hawaa maangtey hain



Nabiyyon ke dulhaa habiib-e-khuda hain
Woh sab ummtoon ke bane paishwa hain
Zamaaney main un kii muhabbat 'atta ho
Pas-e-marg un ki shafaa maangtey hain



Kalaam-e-khuda hai kalaam-e-Muhammad
Salaam-e-khudaa hai salaam-e-Muhammad
Muhammad ki surat main haq jalwahgar hai
Muhammad Muhammad khuda maangtey hain



Elaahii yeh Tahir hai farde yagaanah
Hai bandah tumhaaraa nabii ka diiwaanah
Diiwaney chaley hain jo Tahir ke hamraah
Nigaah-e-habiib-e-khuda maangtey hain



Tere aastaan peh koii jaa rahaa hain
Woh apne muqaddar ko chamkaa rahaa hain
Elaahii dikhaa de Jiilaanii ko taybah
Madiine main ham ghoomnaa maangtey hain
Thu Mar 20, 2008 4:00 pm View user's profile Send private message
Display posts from previous:    
Reply to topic    Forum Pakistan - Pakistani Forums Home » Naats All times are GMT + 5 Hours
Page 1 of 1

 
Urdu AdabIslam ForumAap Ka SheharNaukariPakistan VisaCricket Forum
PTV LiveGEO LiveLollywood MoviesBollywood MoviesHollywood MoviesPakistani Radio
GupshupPakistani MusicPakistani DramasPoetry ForumPakistan FashionPakistani Recipes
Pakistani Forum Copyright © ForumPakistan.com 2008
sitemap 1 2 3

Contact Us | Advertise | Report Abuse | FP Team | Disclaimer