Forum Pakistan - Pakistani Forums
Pakistani forum, where you can discuss freely on all issues from khabrain, muqabaley, cricket, khail, film, dramay, shair shaery, safar, batein, muhabat kay qissay, warzish, sehat, rozee, akhbar, siasat, naukary ghar pyaar dokan aur karobar gupshup.
|
|
|
| Author |
Message |
|
|
ali
Senior Member Pakistani

Joined: 24 May 2007 Posts: 728 Location: New York |
|
| Kamlii walay to talab |
|
Naat e Rasool e Paak
sallal lahu ta'ala aleyhi wa alihi wasallam
Kamlii walay to talab say bhi siwaa daytay heyn
Aa-ay mangta to wo sultaan bana daytay heyn
Yaad kar lay jo koii dil say mayray aqa ko
Teba waalay ussay teba mayn bula laytay heyn
Daykhay koii to sada day kay mayray madni ko
Pal mayn bigrri huii taqdeer bana daytay heyn
Khulq esa to kisi hor nay or nay paya hi nahiin
Dushman aaja-ay to chaadar bhi bichha daytay heyn
Zikr karta he jo sakar kay mahbubon ka
Mayray aqa ussay mahbub bana laytay heyn
Kartay heyn aakay karam shaah e do alam un par
Jo bhi sarkar ki mehfil ko saja laytay heyn
Koii aaja-ay agar jurmon pay naadim ho kar
Mayray aqa ussay kamli mayn chhupa laytay heyn
Gar koii naam e muhammad ka waziifa kar lay
Khuaab mayn aakar wo jalwa bhi dikha daytay heyn
|
|
| Thu Mar 20, 2008 3:59 pm |
|
 |
|
|
|