Forum Pakistan - Pakistani Forums
Pakistani forum, where you can discuss freely on all issues from khabrain, muqabaley, cricket, khail, film, dramay, shair shaery, safar, batein, muhabat kay qissay, warzish, sehat, rozee, akhbar, siasat, naukary ghar pyaar dokan aur karobar gupshup.
|
|
|
| Author |
Message |
|
|
ali
Senior Member Pakistani

Joined: 24 May 2007 Posts: 728 Location: New York |
|
| Kamli wala aa gaya |
|
Aashiqon khusiyan manaow Kamli wala aa gaya
Rabb-e-sallim gun gunaao Kamli wala aa gaya
Chehra-e-walfajr sey aur gaysuey wal-layl sey
Dil ko aiinah banaao Kamli wala aa gaya
Jhuk geya sajdey mey baitullah bhi ta'zeem ko
Ab diyey dil ko jalaao Kamli wala aa gaya
Gode main ley kar Halima Sadiyah ne yuun kahaa
'Azmatun key geet gaao Kamli wala aa gaya
Jashn-e-Milaad-un-Nabi main un key zikr-e-paak sey
Najdioon par qehr dhaao Kamli wala aa gaya
Chaand suraj aur sitaro kehkashaan ard-o-falak
Rowshani apni barhaao Kamli wala aa gaya
Ya Rasulullah ka na'rah lagaa kar sunnio
Apney dushman ko bhaghaao Kamli wala aa gaya
Na'ray Risaalat!
Ya Rasulullah!!!!
Tum bhi Nustrat Na'imi mahfil-e-milaad main
phool naatoun key khilaaow Kamli wala aa gaya
|
|
| Wed Mar 19, 2008 5:52 pm |
|
 |
|
|
|