Forum Pakistan - Pakistani Forums
Pakistani forum, where you can discuss freely on all issues from khabrain, muqabaley, cricket, khail, film, dramay, shair shaery, safar, batein, muhabat kay qissay, warzish, sehat, rozee, akhbar, siasat, naukary ghar pyaar dokan aur karobar gupshup.
|
|
|
| Author |
Message |
|
|
aimenqazi
Full PK Member

Joined: 19 May 2008 Posts: 275 Location: US-CHI |
|
| GHALIB BAIT BAZI................. |
|
Sirf aur Sirf Ghalib kay sharon ky BaitBazi.........................
"Zikr us Pari wish ka aur phir bayan apna
Rakeeb ban gaya akhir jo tha raaz daan apna."
Please continue.....................[/list]
Last edited by aimenqazi on Tue Jul 01, 2008 11:53 pm; edited 1 time in total |
|
| Sun Jun 29, 2008 8:30 am |
|
 |
que10
Full PK Member

Joined: 11 Nov 2007 Posts: 486 Location: Chi-town |
|
| |
|
Na tha kuch, tou Khuda tha,
Kuch na hota, tou Khuda hota.
dabooya mujh ko hoonay nay,
Naa hoota mien, tou kya hoota.
Huee mudda't kay Ghalib mar gaya,
Per yaad aata hai.
Woh har eik baa't peh kehna,
Keh youn hoota, tou kya hoota.
abb aap ki baari hai. 
_________________ "You are free- you are free to go to your temples mosques or any other place of worship in this state of Pakistan. You may belong to any religion, caste or creed, THAT HAS NOTHING TO DO WITH THE BUSINESS OF THE STATE"... Jinnah, Aug 11th 1947. |
|
| Sun Jun 29, 2008 12:59 pm |
|
 |
aimenqazi
Full PK Member

Joined: 19 May 2008 Posts: 275 Location: US-CHI |
|
| |
|
'arz-e-niyaaz-e-ishq ke qaabil naheeN raha
jis dil pe naaz tha mujhe wo dil naheeN raha
go maiN raha, rahee na sitam haaye rozgaar
lekin tere KHayaal se GHaafil naheeN raha
dil se hawa-e-kisht-e-wafa miT gayee ki waaN
haasil siwaay hasrat-e-haasil naheeN raha
bedaad-e-ishq se naheeN Darta magar 'Asad'
jis dil pe naaz tha mujhe wo dil naheeN raha
|
|
| Mon Jun 30, 2008 2:58 am |
|
 |
aimenqazi
Full PK Member

Joined: 19 May 2008 Posts: 275 Location: US-CHI |
|
| |
|
RAAT DIN GARDISH MAIN HAIN SAAT ASMAAN
HO RAHAY GA KUCH NA KUCH GHABRAIN KIA
|
|
| Tue Jul 01, 2008 11:55 pm |
|
 |
que10
Full PK Member

Joined: 11 Nov 2007 Posts: 486 Location: Chi-town |
|
| |
|
Youn tou dunya mien hain sukhanwar aur bhi bohout achay,
per kehtay hain kay Ghalib ka hai andaaz e bayaan aur.
_________________ "You are free- you are free to go to your temples mosques or any other place of worship in this state of Pakistan. You may belong to any religion, caste or creed, THAT HAS NOTHING TO DO WITH THE BUSINESS OF THE STATE"... Jinnah, Aug 11th 1947. |
|
| Tue Jul 01, 2008 11:59 pm |
|
 |
aimenqazi
Full PK Member

Joined: 19 May 2008 Posts: 275 Location: US-CHI |
|
| |
|
 |
 |
Youn tou dunya mien hain sukhanwar aur bhi bohout achay,
per kehtay hain kay Ghalib ka hai andaaz e bayaan aur. |
bahut maazrat kay sath aik islaaah karoon ga....
HaiN aur bhee dunya maiN sukhanvar bohot achhay
Kehtay hain keh 'Ghalib' ka hai andaaz-e-bayaN aur .................bulkeh yeah puri ghazal intni behtareen hai keh main aap ki nazar karna chahoon ga
Hai bus keh har ik un keh isharay maiN nishaN aur
Kartay haiN mohabbat to guzarta hay gumaaN aur
Ya rab, woh na samjhay haiN na sumjhaiN gay meree baat
Day aur dil un ko jo na day mujh ko zubaaN aur
Abroo say hai kya us nigahay naaz ko paywand
Hai teer muqarrar, magar us kee hai kamaN aur
Tum sheher main ho to, humain kya ghum?? jab uthain gay
Lay aeyn gay bazar say ja kar dil-o-jaaN aur
Har chand subak dast hooay butshikani maiN
Hum hain to abhee rah maiN hay sang-e-giraN aur
Hay khoon-e-jigar josh maiN dil khol keh rota
Hotay jo kaee deeda-e-khooN naabah_fishaN aur
Marta hoon is awaz peh har chand sir ur jaaey
Jillaad ko laikin woh kahay jaaen keh "HaaN aur"
Logon ko hay khursheed-e-jahaN taab ka dhoka
Har roz dikhata hooN main ik daagh-e-nihaN aur
Layta, na agar dil tumhain deta, koee dum chaen
Karta, jo na marta koee din, aaho-o-fuGHaN aur
Paatay nahiN jab rah to chaRh jaatay haiN naalay
Ruktee hai meri taba' to hotee hay rawaN aur

Kehtay hain keh 'Ghalib' ka hai andaaz-e-bayaN aur
|
|
| Wed Jul 02, 2008 8:36 am |

Kehtay hain keh 'Ghalib' ka hai andaaz-e-bayaN aur |
sahee kaha.
Thanks for correcting mua ma brother. 
_________________ "You are free- you are free to go to your temples mosques or any other place of worship in this state of Pakistan. You may belong to any religion, caste or creed, THAT HAS NOTHING TO DO WITH THE BUSINESS OF THE STATE"... Jinnah, Aug 11th 1947. |
|
| Fri Jul 04, 2008 4:06 am |
|
 |
aimenqazi
Full PK Member

Joined: 19 May 2008 Posts: 275 Location: US-CHI |
|
| |
|
1. nuktaacheeN hai GHam-e-dil usko sunaaye na bane
kya bane baat jahaaN baat banaaye na bane
2. maiN bulaata to hooN usko magar 'ei jazba-e-dil
uspe ban jaaye kuchch 'eisee ki bin aaye na bane
3. khel samjha hai kaheeN choD na de, bhool na jaay
kaash ! yooN bhee ho ki bin mere sataaye na bane
4. GHair firta hai liye yooN tere KHat ko ki agar
koee pooche ki yeh kya hai ? to chipaaye na bane
5. is nazaakat ka bura ho, woh bhale haiN to kya
haaNth aaye to unhaiN haaNth lagaaye na bane
6. keh sake kaun ki yeh jalwaa_garee kiskee hai
parda choDa hai woh usne ki uTHaaye na bane
7. maut kee raah na dekhooN ki bin aaye na rahe
tumko chaahooN ki na aao, to bulaaye na bane
8. bojh woh sar pe gira hai ki uTHaaye na uTHe
kaam woh aan paDa hai, ki banaaye na bane
9. ishq par zor naheeN, hai ye woh aatish 'GHalib'
ki lagaaye na lage aur bujhaaye na bane
|
|
| Fri Jul 04, 2008 2:08 pm |
|
 |
|
|
|