Forum Pakistan
New User? Register | Search | Memberlist | Log in
Forum Pakistan - Pakistani Forums
Pakistani forum, where you can discuss freely on all issues from khabrain, muqabaley, cricket, khail, film, dramay, shair shaery, safar, batein, muhabat kay qissay, warzish, sehat, rozee, akhbar, siasat, naukary ghar pyaar dokan aur karobar gupshup.
Watch TV OnlineLive RadioListen QuranAkhbarFree SMS PakistanResults OnlineUrdu Editor
Complaint CellUseful LinksJobsOnline GamesCheck EmailPromote usDonations
GEO News LiveDawn News Live TVExpress News
Shaadi Online
PMLN Decided to site in Opposition
Watch Musharraf Address Audio Video
Shaadi Online
ARBI AUR PUNJABI KA LISANI RESHTAH

 
Reply to topic    Forum Pakistan - Pakistani Forums Home » Punjabi Forum
ARBI AUR PUNJABI KA LISANI RESHTAH
Author Message
Dr Maqsood Hasni
Full PK Member
Full PK Member


Joined: 09 Jun 2007
Posts: 116
Location: punjab

ARBI AUR PUNJABI KA LISANI RESHTAH
ARBI AUR PUNJABI KA LISANI RESHTAH

Lafaz Punj+Aab/Punjab, es amar ki wazay toor par nishan’dahi karta hai kah (arbi rasam-ul-khat kay hawah se) Musalmanoon aur oon ki ravaeyaat kay zair-e-asar parvan charhi hai. Musalman kisi bhi hawalah se Bar-e-Sagher main warad hotay rahay hoon, onhoon ne jahaan dusri zobanoon par asraat moratab kiay wahaan punjabi ko bhi motasar kiya. Yahhi wajah hai kah Punjabi main un’gint alfaz Arbi ke dakhal ho gay hain aur kisi na’kisi hawalah se roz’marra ki tehreer-o-taqreer ka hissa hain. Es ki bohat sari suratain daikhnay sun’nay main aati hai. Maslan
• Lafz apni asal ashkaal aur asal mafaheem kay sath warad howay
• Lafz apni asal maktobi ashkaal, asal mafaheem ke sath warad howay likin aswaat
main tabdili aa gae. Jaisay zima se zuma
• Lafz apni asal ashkaal magar tabdili-e-mafaheem kay sat Punjabi zakhira-e-alfaz ka hissa
ho gay hain.
• Aawazoon ka tabadlah howa
• Awazain giranay ya barhanay se Haiti tabdili aa gae
• Jama moans bananay ke liay Punjabi ke lisani asool-o-atwaar ekhtayar kiay gay
• Arbi alfaz ke hawalah se bohat saray alfaz-o-marakbaat ghar liay gay
• Sabqoon lahqoon ke paivand se alfaz bana liay gay
Gharaz bohat sari aisi suratain Punjabi zoban ke lisani tajziya-o-motaliah se mehsus ki ja sakti hain. Jis se Arbi aur Punjabi ke samaji, saqafti, mazhabi, moashi, fikri, aur lisani reshtay daryaft kiay ja saktay hain. Kisi bhi nazm ya nasar paray ka aaj; jab kah Arbi apni hiseat kho baithi hai, motaliah kartay hain to ba’khobi mehsus kiya ja sakta hai kah Punjabi ki ragoon main taqreban basath (62) fisad Arbi alfaz ke RBCs gardish kunaan hain. Agli satoor main punjabi ka mukhtasar mukhtasar lisani motaliah karnay ki haqeer se koshesh ki gae hai takah ahal-e-zoban es hisas mozoo ki taraf raghab ho sakain.
Aawazoon ka tabada
*Hy maqsora ko alaf kay sat badal daitay hain. Maslan sadqah se sadqa, tareqah se tarea, alaqah
se alaqa, arsah se arsa, fareshta se fareshta, fitranah se fitrana, hoslah se hosla
*Gaaf ko ghain main badal daitay hain. Roman lipi main donoon ke liay gh marakab ka estamaal hota hai.
*Sheen ko seen main tabdeel karnay ka aam rovaj hai. Masaln fareshtah se faresta.
Mivati main sheen na honay kay sabab essay seen main badal daitay hain likin Punjabi ka
yah rujhan aam nahain.
*Daal ko jeen main badalnay ki suratain bhi milti hain. Masalan qudrat se qujrat/kujrat
*Daal ko zay aur zaal main tabdeel kar daitay hain. Maslan qudrat se quzrat. Zaal aur zay ke
liay roman khat main “z” estamal main aati hai.
*yay alaf main tabdeel ho jati hai. Donoon ke liay roman khat main “w” estamaal kartay hai.
*Zoad ki Punjabi main mutbadal aawaz jeem hai. Maslan hazoor se hajoor, arz se arj, arzi se
arji, qazya se qajya wagherah
*Hy ki mutbadal aawaz hy maqsora hai. Roman lipi main donoon ke liay “h” mostamal hai
*Soad ke liay seen estamal main aati hai. Roman lipi main donoon ke liay “s” ka estamal hota hai
*Wao ko bay main badal daitay hain. Masalan qabr se qawar, qabarastan se qawarastan
*Bay ko wao main bhi badaltay hain. Maslan basna se wasni
*Hy ki mutbadal aawaz alaf bhi mostamal hai. Maslan fath se fata
*Zay ko jeem main tabdeel karnay ki suratain aam milti hain. Maslan ajiz se ajid, ajzi se ajdi,
farzand se farjand wagherah
*fay omoman phay main tabdeel ho jati hai. Maslan faqeer se phaqeer, faqeri se phaqeri fursat se
phursat
*Fay ke liay khy bhi sonnay ko milti hai. Maslan faqeer se fakheer
(khay kay liay eng. Marakab aawaz “kh” estamal hoti hai)
*Aein ki aawaz sonnay ko bohat kam milti hai. Maslan ma’aloom se maloom, ma’asoom se masoom,
ta’alaq se talaq wagherah
*Aein kay liay wao toa’am se toam
*yay kay liay alaf alaiahdah se alahida
*Hay kay liay yay fatah se fatay
*Aein kay liay humza ta’amah se tama aur tama se tamae
*Meem kay liay wao mand se wamd
*Aein ke liay alaf donoon kay liay roman khat main “a” estamal main aata hai
*Jeem ke liay yay masjad se maseit
*Daal kay liay tay masjad se maseit
Punjabi main aawazain giranay ki kae suratain milti hain
* Aein ki aawaz sonnay ko bohat kan milti hai. Maslan ma’aloom se maloom, ma’asoom se masoom,
ta’alaq se talaq, afsus se fasus, farest se fahrest, qaem se qain, daem se dain, Iqbal
se qabaladawat se adoot, qaeda se qaida
Punjabi aawazain barhanay ka bhi aam rovaj hai
Tonq, honsala, fansla, fainsla, aainsh
Moanas banay ke liay Punjabi main mukhtalif andaz ekhtayar kiay jatay hain
Sahibaan/sehbaan
Sahabni/sabni
Tofanan, zedan, talaqan, zalman, fareshtan, aiban, gharazan, ataban, ashqan, arzan, qarzan
Maenvi tabdili ke liay yay ki barhoti
Sabori, zamni, zimni, tamae, aqi, ami, qabli, khasi, adalti, azabi, ozri, elati, amli (ba’maeni nashae), ghaebi, eidi, sabri, sohbati, zamanti, qehri, qabali, fazoli, taqi, tofani, zalmi, zahri, aibi, ghaebi, gharti, ghsabi, farghi, sadqi
Hamza+yay ki barhoti
Tamae, qarzae, qazae
(ba’maeni jo namaaz reh gae ho os ko baad main kisi dusri namaz kay sath parhna)
Noon ki barhoti
Edan, yaeni eid ke rooz paida honay wala
Alaf ki barhoti
Eida yaeni eid kay rooz paida honay wala
Wao ka azafah
Janggo jo jang kay doran paida howa ho
Noon ghona ka azafa
Tarfoon, zayaan, qoormaan, tamaan
Ya ki barhoti
Zamantiya, adaltiya, zaanya
Jama bananay kay liay Noon Ghona ka azafa
Adtaan, qeyamtaan, sharabaan, azabaan, zidaan, adaltaan wagherah
Alaf ka azafah
Zahra, pehra, eida wagherah
Laam ka azafah
Ziddal
Wao ka Azafah
Aeinkoo (aeinak laganay wala
Noon ki ajeeb-o-ghareeb barhoti
Amlan
Alfaz ki maenivi tabdili
• Tahoor ba’maeni khatna
(khatna khat se tarkeeb paya hai, khat kay Arbi
maeni lakeer, jab’kah Urdu maeni chithi, shaip
(dahri ki Qatar bareed) kay hain)
• Ghazi ghoray kay maenoon main estamal kartay hain
• Haji woh jo haj kay rooz paida howa ho
• Zid zida’zidi, zido’zidi, zid-ba’zid, ziddal wagherah
• Talaaq talaaq nanvaan, talaqan
• Faraq farqofarqi
• Qatal-e-aam qatlaam
• Qassam qesmay ba’maeni qassam se
Punjabi kay doo lahqay
Mand se wand
Zarorat’man sezarorat wand, aqal’mand se akalwand, gharz wand, qeyas’mand se qeyas wand, hajat’mand se hajat wand
Daan se waan
(likin mukhtalif maenoon main)
Zarorat waan, qeyas waan, qehar waan

_________________
iushah
Sat Mar 22, 2008 5:14 pm View user's profile Send private message
Rana Naeem
Software Moderator
Software Moderator


Joined: 20 Nov 2007
Posts: 1073
Location: Lahore

Reply with quote
Good lecture

_________________
It's better to keep your mouth shut and give the impression that you're stupid than to open it and remove all doubt...
Wed Mar 26, 2008 4:22 pm View user's profile Send private message Visit poster's website Yahoo Messenger MSN Messenger
ugwaraich
Senior Proud Pakistani
Senior Proud Pakistani


Joined: 22 May 2007
Posts: 1368

Reply with quote
Dr sahib yaqeenan aapka tajziya maloomaat ka zakheera hay. laikin mujhey kuch baatain samajh naheen aeen iss para main.
Woh yeh kay merey khayal main urdu ka arbi say lisani rishta ziada qareeb ka hay banisbat punjabi kay, kiounkay aapko aisay bohat say ilfaaz milaingay jo likhnay main aur soati (pronounciation) main arbi say mutabiqat rakhtay hain.

Doosray yeh kay aapnay jo kuch misaalain di hain punjabi kay alfaz ki jaisay Ghaeen ko G keh kay bulana ya, Sheen ko seen kehna, ya Dal ko Jeen kehna maslan Qudrat ko Qujrat, jiss punjabi tabqay say mera talluq hay wahan aisay ilfaaz kabhi sun nay main naheen aye. Maslan Qudrat ko Qudrat hee kaha jaata hay ya janoobi punjab main shayad Quzrat kaha jaata ho jahan saraiki ka tarz e guftagoo punjabi pay ziada asar andaaz hay. Kia aap wazahat kar saktay hain kay aap kiss ilaqay ki punjabi pay tabsara kar rahay hain? kiounkay meri chati hiss keh rahi hay kay aisi punjabi sarhad kay uss paar hee boli jaati hay aur shayad ussay gurmukhi kehtay hain.
Wed Mar 26, 2008 4:37 pm View user's profile Send private message
Dr Maqsood Hasni
Full PK Member
Full PK Member


Joined: 09 Jun 2007
Posts: 116
Location: punjab

punjabi--------------- Reply with quote
main aap donoon sahiban ka dil-o-jan se mumnoon hoon kah aap ne towajo farmae.
khasusan "ugwaraich" ka kah onhoon ne guftagu ka rastah khola
pura punjab (os par ka ho ya es par ka) Arbi se motasar howa hai.
Arbi ne sari pakistani zobanoon par asraat moratab kiay hain.
Aawazoon ka tabadal puray punjab main mojood hai aur yah seraf punjabi tak mahdood nahain.
wasaib main eak tabqah nahain hota yah bohat saray tabqaat se tashkeel pata hai
daikhnay main lafz punjab lagta hai likin os ki jarain Arbi ya kisi aur zoban se juri ho sakti hain
Arbi kiya farsi aur angraizi nay bhi punjabi par asraat moratab kiay hain
bohat jald pakistani zobanoon par asraat k hawalah se morozaat paish karoon ga

_________________
iushah
Fri Mar 28, 2008 6:11 pm View user's profile Send private message
loje
Members Helper
Members Helper


Joined: 14 Jan 2008
Posts: 2462
Location: Saudia Arabia

Reply with quote
ugwaraich wrote:
Dr sahib yaqeenan aapka tajziya maloomaat ka zakheera hay. laikin mujhey kuch baatain samajh naheen aeen iss para main.
Woh yeh kay merey khayal main urdu ka arbi say lisani rishta ziada qareeb ka hay banisbat punjabi kay, kiounkay aapko aisay bohat say ilfaaz milaingay jo likhnay main aur soati (pronounciation) main arbi say mutabiqat rakhtay hain.

Doosray yeh kay aapnay jo kuch misaalain di hain punjabi kay alfaz ki jaisay Ghaeen ko G keh kay bulana ya, Sheen ko seen kehna, ya Dal ko Jeen kehna maslan Qudrat ko Qujrat, jiss punjabi tabqay say mera talluq hay wahan aisay ilfaaz kabhi sun nay main naheen aye. Maslan Qudrat ko Qudrat hee kaha jaata hay ya janoobi punjab main shayad Quzrat kaha jaata ho jahan saraiki ka tarz e guftagoo punjabi pay ziada asar andaaz hay. Kia aap wazahat kar saktay hain kay aap kiss ilaqay ki punjabi pay tabsara kar rahay hain? kiounkay meri chati hiss keh rahi hay kay aisi punjabi sarhad kay uss paar hee boli jaati hay aur shayad ussay gurmukhi kehtay hain.



yes you are right on that i see that arabi is close to urdu some times not punjabi as i think

_________________
Fri Mar 28, 2008 7:55 pm View user's profile Send private message
bababula
Pak Newbie


Joined: 04 May 2008
Posts: 16

Reply with quote
punjabi is a nice language
Sat Jul 05, 2008 6:22 am View user's profile Send private message
Dr Maqsood Hasni
Full PK Member
Full PK Member


Joined: 09 Jun 2007
Posts: 116
Location: punjab

punjabi------------------- Reply with quote
tovojo k liay mumnoon hoon.
arbi fasi nay bar-e-sagher ki taqreban tamam zobanoon par apnay asraat choray hain.
zara roz ki punjabi bool chal par ghoor farmaein aap ko andaza ho ja'ay ga k mein kahan tak thek keh raha hoon.
maenvi aur haiti tabdiloon k sath un'gint alfaz punjabi ka hisa hain.

_________________
iushah
Tue Aug 05, 2008 6:15 pm View user's profile Send private message
Display posts from previous:    
Reply to topic    Forum Pakistan - Pakistani Forums Home » Punjabi Forum All times are GMT + 5 Hours
Page 1 of 1

 
Urdu AdabIslam ForumAap Ka SheharNaukariPakistan VisaCricket Forum
PTV LiveGEO LiveLollywood MoviesBollywood MoviesHollywood MoviesPakistani Radio
GupshupPakistani MusicPakistani DramasPoetry ForumPakistan FashionPakistani Recipes
Pakistani Forum Copyright © ForumPakistan.com 2008
sitemap 1 2 3

Contact Us | Advertise | Report Abuse | FP Team | Disclaimer