Forum Pakistan - Pakistani Forums
Pakistani forum, where you can discuss freely on all issues from khabrain, muqabaley, cricket, khail, film, dramay, shair shaery, safar, batein, muhabat kay qissay, warzish, sehat, rozee, akhbar, siasat, naukary ghar pyaar dokan aur karobar gupshup.
|
|
|
| Author |
Message |
|
|
ali
Senior Member Pakistani

Joined: 24 May 2007 Posts: 737 Location: New York |
|
| Ankhon Mein Bas Gaya Hai |
|
Ankhouen mein bas geya hai Madina huzoor ka
Be kas ka aasera hai Madina huzoor ka
Phir ja rahe hai ahle Mohabbat ke qafle
Phir yaad aa raha hai Madina huzoor ka
Nabiyouen mein jaise afzal-o-A'ala hai mustafa
Sherouen mein baadshah hai Madina huzoor ka
Jab se qadam pare hai risalat ma'aab ke
Jannat se bar geya hai Madina huzoor ka
Har zara zara apni jagga ma'ahataab hai
Kya jagma'ga raha hai Madina huzoor ka
Qudsi bhi chumthe hai addab se yahan ki khaaq
Qismat mein jhometha hai Madina huzoor ka
Ho naaz kyoun na is ko Neyazi naseeb par
Jis ko bhi mil geya hai Madina huzoor ka
|
|
| Tue Mar 18, 2008 3:53 pm |
|
 |
|
|
|