Forum Pakistan - Pakistani Forums
Pakistani forum, where you can discuss freely on all issues from khabrain, muqabaley, cricket, khail, film, dramay, shair shaery, safar, batein, muhabat kay qissay, warzish, sehat, rozee, akhbar, siasat, naukary ghar pyaar dokan aur karobar gupshup.
|
|
|
| Author |
Message |
|
|
ali
Senior Member Pakistani

Joined: 24 May 2007 Posts: 727 Location: New York |
|
| Ab Mayri Nigahon Mayn Jachta Nahiin Koii |
|
Naat e Rasool e Maqbool
sallal lahu aleyhi wa aalihi wasallam
Ab mayri nigahon mayn jachta nahiin koii
Jesay mayri sarkar heyn esa nahiin koii
Tum sa to haseen aankh nay daykha nahiin koii
Kya shaan e latafat he kay saaya nahiin koii
Ea zarf e nazar daykh magar daykh adab say
Sarkar ka jalwa he tamaasha nahiin koii
Hota he jahaan zikr muhammad kay karam ka
Uss bazm mayn mahroom e tamanna nahiin koii
A'zaaz yay haasil he to haasil he zameen ko
Aflaak pay to gunbad e khazra nahiin koii
Sarkar ki rahmat nay mujhay khoob nawaaza
Yay sach he kay Khaalid sa nikamma nahiin koii
|
|
| Tue Mar 18, 2008 3:51 pm |
|
 |
|
|
|